WELCOME TO STEP TO STEP LEARN

Blog ko delete kaise kare step to step

Hi.. Dosto es blog me aap sbhi ka tahe dil se sawat hai, aap sabhi jante honge ki aaj ke jamne me internet chalana kitna aasan ho gaya hai. Dosto esliye maine es blog par aapke liye blog ki saari ki sari tips and trick aapke satha shere karna chahata hoo, Dosto es blog me har wo jankari di jayegi jo ki ek computer chalane ya fir kahe ki aam insan ko honi chahiye es liye maine es site pat step to step sari jankari aapke samne lekar aata rahunga aur aapko dher sari jankar uplabdh karaunga.


Dost aap apne computer me kisi bhi browser ko open kar lijiye, ab  apko nichi diye gaye blog ko step by step pard kar dhyan se step to step ko follow karte jaiye, step to step karne se aapko koi dikkat nahi hoga to fir chaliye start karte hai.

Step :- 1

sabse pahle aap apne computer me ek Browser open kar lijiye, browser open karne ke baad URL bar me www.blogger.com likh kar ENTER press kare ya fir blogger wale link par click kare, link par click karne ke baad aapke samne kuch page open ho jayega, niche diye gaye image me dekh sakte hai 



Step :- 2

ab aap SIGN IN wale link par click kare 
click karne ke baad aapke samne Gmail Account ka page open ho jayega 


Step :- 3
ab aapko apne gmail account se Login karna hoga 
login hone ke baad aapke samne blogger  ka page open ho jaye ga jaisa ki aap niche image me dekh sakte hai.


Step :- 4

ab aapko apne blog ka Title Select  karna padega jise aap delete karna chahate hai aur aapko jis blog ko delete karna ho us blog ko select kare, select karne ke baad aap blog ke Dasboad par niche ke baye taraf me Settings ka option mil jayega jaisa ki nice image me aap dekha sakte hai .


Step :- 5
ab app Settings opition par click kare aur click karne ke baad aapke samne right page par kuch option dikhai dega lekin aapko scrol karke page ko niche karne padega, niche jjane ke baad aapko 
Remove your Blog ks option dikhega.


Step :- 6
ab aap Remove your blog par click kare ,click karne ke baad aapke samne new popup page khulega, jaisa ki niche image me dekh sakte hai


Step :- 7
ab apko Delete wale button par click karna hai, agar aap ko apne blog ka xml file lene chahate hai to popup page me delete ke uper Download Blog likha aa raha hoga us par click kar ke apne blog ko download kar sakte hai, agar nahi karna chahte to Delete wale option par click kare, delete button par click karne ke baad apke samne  ek page open hoga, jaisa ki niche dekh sakte hai


Step :- 8
ab aap apna blog permanently Delete karne chate hai to Permanently Delete wale button par click kare , ab fir se ek popup page khulega.


ab aapko Permanently Delete par click kare, ya hamesa ke liye delete ho jayega dosto es prakar aap apna blog delete kar sakte hai.



-: Note :-

Congratulations dosto ab aap sabhi ko pata chal gaya hoga ki blogger me blog ko Permanently Delete kaise karte hai ab apko kisi bhi prakar ki dikkat aayegi to comment box me apna massage jarur likhe aur apni rai ko sajha kare, hum aasha karte hai ki aap es blog par step to step ya fir dekh kar samjh gaye honge  aur aage kisi bhi prakar ki asuvidha ho to aap hume comment box me ek bar jarur bataye tatha es post ko apne dosto me shere jarur kare.
 <<< THANKS >>>    



No comments:

Powered by Blogger.